shamim-e-zulf-e-yar aae na aae
shamīm-e-zulf-e-yār aa.e na aa.e
mire dil ko qarār aa.e na aa.e
abhī aayā hai hosh ai yād-e-jānāñ
na taḌpā baar baar aa.e na aa.e
charāġh-e-zindagānī bujh rahā hai
vo jān-e-intizār aa.e na aa.e
kiyā jo tum ne apne dil se pūchho
hamārā e'tibār aa.e na aa.e
nigāh-e-ahl-e-gulshan kah rahī hai
ḳhizāñ jaa.e bahār aa.e na aa.e
baḌhegā kārvāñ manzil-ba-manzil
ġhubār-e-rah-guzar aa.e na aa.e
shamim-e-zulf-e-yar aae na aae
mere dil ko qarar aae na aae
abhi aaya hai hosh ai yaad-e-jaanan
na taDpa bar bar aae na aae
charagh-e-zindagani bujh raha hai
wo jaan-e-intizar aae na aae
kiya jo tum ne apne dil se puchho
hamara e'tibar aae na aae
nigah-e-ahl-e-gulshan kah rahi hai
KHizan jae bahaar aae na aae
baDhega karwan manzil-ba-manzil
ghubar-e-rah-guzar aae na aae
- Book : Noquush (Pg. B-348 E364)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.