shanasa jis ko samjhe the wahi na-ashna nikla
shanasa jis ko samjhe the wahi na-ashna nikla
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
shanāsā jis ko samjhe the vahī nā-āshnā niklā
vo kaisā yaar thā jo yaar ban kar bevafā niklā
bhaTaktā chhoḌ aa.e the jise ham duur sahrā meñ
hazāroñ qāfiloñ ke darmiyāñ vo qāfila niklā
ulaT kar jab bhī dekhī hai kitāb-e-zindagī ham ne
to har ik lafz ke pīchhe koī ik hādisa niklā
bahut kuchh naaz thā ham ko magar ab kyā kaheñ yaaro
hujūm-e-dostāñ meñ vo akelā bevafā niklā
ki apne dukh-bhare naġhme tumheñ kaise sunā paate
hamāre haath jo bhī saaz aaya be-sadā niklā
shanasa jis ko samjhe the wahi na-ashna nikla
wo kaisa yar tha jo yar ban kar bewafa nikla
bhaTakta chhoD aae the jise hum dur sahra mein
hazaron qafilon ke darmiyan wo qafila nikla
ulaT kar jab bhi dekhi hai kitab-e-zindagi hum ne
to har ek lafz ke pichhe koi ek hadisa nikla
bahut kuchh naz tha hum ko magar ab kya kahen yaro
hujum-e-dostan mein wo akela bewafa nikla
ki apne dukh-bhare naghme tumhein kaise suna pate
hamare hath jo bhi saz aaya be-sada nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.