sharāb Dhaltī hai shīshe meñ phuul khilte haiñ
chale bhī aao ki ab donoñ vaqt milte haiñ
jo ho sake to gale mil ke ro le ai ġham-ḳhvār
ki āñsuoñ hī se dāman ke chaak silte haiñ
ye aur baat kahānī sī koī ban jaa.e
harīm-e-nāz ke parde havā se hilte haiñ
mire lahū se mo.attar tire laboñ ke gulāb
tirī vafā se kañval mere dil ke khilte haiñ
dhaḌak rahā hai masarrat se kā.enāt kā dil
kabhī ke bichhḌe hue dost aaj milte haiñ
sharab Dhalti hai shishe mein phul khilte hain
chale bhi aao ki ab donon waqt milte hain
jo ho sake to gale mil ke ro le ai gham-KHwar
ki aansuon hi se daman ke chaak silte hain
ye aur baat kahani si koi ban jae
harim-e-naz ke parde hawa se hilte hain
mere lahu se moattar tere labon ke gulab
teri wafa se kanwal mere dil ke khilte hain
dhaDak raha hai masarrat se kaenat ka dil
kabhi ke bichhDe hue dost aaj milte hain
Source :
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 76)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
-
Publication : Rekhta Publications
(2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.