Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab lal-e-lab-e-dil-baran hai mujh kun mubah

Abdul Wahab yakro

sharab lal-e-lab-e-dil-baran hai mujh kun mubah

Abdul Wahab yakro

MORE BYAbdul Wahab yakro

    sharāb la.al-e-lab-e-dil-barāñ hai mujh kuuñ mubāh

    ab aish-o-ishrat-e-donoñ-jahāñ hai mujh kuuñ mubāh

    yahī hai farq ham aur tum munīñ sun ai zāhid

    vahāñ jo tujh ko milegā yahāñ hai mujh kuuñ mubāh

    jinhoñ ke tīr-e-mizha dil kuuñ phoḌ chalte haiñ

    vo shoḳh dilbar-e-abrū-kamāñ hai mujh kuuñ mubāh

    sharāb o shāhid o ḳhalvat siyāh-mastī hosh

    isī jahān munīñ begamāñ hai mujh kuuñ mubāh

    ḳharāb duḳhtar-e-raz ke hue haiñ sab 'yakrū'

    ajab ki shaiḳh kahe hai kahāñ hai mujh kuuñ mubāh

    sharab lal-e-lab-e-dil-baran hai mujh kun mubah

    ab aish-o-ishrat-e-donon-jahan hai mujh kun mubah

    yahi hai farq hum aur tum munin sun ai zahid

    wahan jo tujh ko milega yahan hai mujh kun mubah

    jinhon ke tir-e-mizha dil kun phoD chalte hain

    wo shoKH dilbar-e-abru-kaman hai mujh kun mubah

    sharab o shahid o KHalwat siyah-masti hosh

    isi jahan munin begaman hai mujh kun mubah

    KHarab duKHtar-e-raz ke hue hain sab 'yakru'

    ajab ki shaiKH kahe hai kahan hai mujh kun mubah

    Source :
    • Book : diwan-e-yakro (Pg. 26)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now