Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab-noshi hai din-raat shaghl-e-baada hai

Yasir Rampuri

sharab-noshi hai din-raat shaghl-e-baada hai

Yasir Rampuri

MORE BYYasir Rampuri

    sharāb-noshī hai din-rāt shaġhl-e-bāda hai

    tabāh karne ḳhud ko mirā irāda hai

    sajī hai ‘ārzī muskān to laboñ pe magar

    hamārī ruuh pe zaḳhmoñ ik labāda hai

    adā.eñ jis qayāmat haiñ chaal hai kāfir

    vo shaḳhs dekhne meñ haa.e kitnā saada hai

    dukhoñ ne aa ke basā haiñ bastiyāñ kitnī

    pata chalā thā mirā dil bahut kushāda hai

    tumhāre husn charchā hai gar zamāne meñ

    hamārā 'ishq bhī majnūñ se kuchh ziyāda hai

    butoñ dhun meñ guzārī thī zindagī 'yāsir'

    ḳhudā ke naam pe marne ab irāda hai

    sharab-noshi hai din-raat shaghl-e-baada hai

    tabah karne ka KHud ko mera irada hai

    saji hai ‘arzi muskan to labon pe magar

    hamari ruh pe zaKHmon ka ek labaada hai

    adaen jis ki qayamat hain chaal hai kafir

    wo shaKHs dekhne mein hae kitna sada hai

    dukhon ne aa ke basa li hain bastiyan kitni

    pata chala tha mera dil bahut kushada hai

    tumhaare husn ka charcha hai gar zamane mein

    hamara 'ishq bhi majnun se kuchh ziyaada hai

    buton ki dhun mein guzari thi zindagi 'yasir'

    KHuda ke nam pe marne ka ab irada hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now