sharāb-o-shīsha-o-sāġhar subū-o-paimāna
fidā-e-nīm-nigāhī tamām mai-ḳhāna
qadam qadam pe mashiyyat ne paañv chūme haiñ
ye kis maqām se guzrā hai terā dīvāna
kabhī kabhī to haram kyā hai but-kada kyā hai
maiñ tere dar se bhī guzrā huuñ be-niyāzāna
usī ke dam se hai raushan harīm-e-ka.aba-e-dil
ḳhudā kare ki na gul ho charāġh-e-but-ḳhāna
jamāl-e-yār jhalaktā hai 'ārzū' jis meñ
mirī ġhazal hai vo rañgīn ā.ina-ḳhāna
sharab-o-shisha-o-saghar subu-o-paimana
fida-e-nim-nigahi tamam mai-KHana
qadam qadam pe mashiyyat ne panw chume hain
ye kis maqam se guzra hai tera diwana
kabhi kabhi to haram kya hai but-kada kya hai
main tere dar se bhi guzra hun be-niyazana
usi ke dam se hai raushan harim-e-kaba-e-dil
KHuda kare ki na gul ho charagh-e-but-KHana
jamal-e-yar jhalakta hai 'arzu' jis mein
meri ghazal hai wo rangin aaina-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.