Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharafat chhin leti hai sadaqat chhin leti hai

Aalam Nizami

sharafat chhin leti hai sadaqat chhin leti hai

Aalam Nizami

MORE BYAalam Nizami

    sharāfat chhīn letī hai sadāqat chhīn letī hai

    qalam-kāroñ se ḳhuddārī zarūrat chhīn letī hai

    riyā-kārī se bachiye ye bahut zahrīlī nāgin hai

    ye nāgin zindagī bhar 'ibādat chhīn letī hai

    zamāne meñ zarūrī hai bahut tā'līm honā

    jahālat aadmī se ādmiyyat chhīn letī hai

    bharī ho jeb to insāñ nashe meñ chuur rahtā hai

    zarā tang-dastī sab nazākat chhīn letī hai

    agar jannat chāhat hai to ḳhidmat shart hai maañ

    agar maañ ruuTh jaatī hai to jannat chhīn letī hai

    jahāñ tak ho sake 'ālam kisī se qarz mat lenā

    miyāñ ye qarz-dārī ḳhair-o-barkat chhīn letī hai

    sharafat chhin leti hai sadaqat chhin leti hai

    qalam-karon se KHuddari zarurat chhin leti hai

    riya-kari se bachiye ye bahut zahrili nagin hai

    ye nagin zindagi bhar ki 'ibaadat chhin leti hai

    zamane mein zaruri hai bahut ta'lim ka hona

    jahaalat aadmi se aadmiyyat chhin leti hai

    bhari ho jeb to insan nashe mein chur rahta hai

    zara si tang-dasti sab nazakat chhin leti hai

    agar jannat ki chahat hai to KHidmat shart hai man ki

    agar man ruTh jati hai to jannat chhin leti hai

    jahan tak ho sake 'alam kisi se qarz mat lena

    miyan ye qarz-dari KHair-o-barkat chhin leti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now