Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai

Bedam Shah Warsi

ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    ye saaqī karāmat hai ki faiz-e-mai-parastī hai

    ghaTā ke bhes meñ mai-ḳhāne par rahmat barastī hai

    ye jo kuchh dekhte haiñ ham fareb-e-ḳhvāb-e-hastī hai

    taḳhayyul ke karishme haiñ bulandī hai na pastī hai

    vahāñ haiñ ham jahāñ 'bedam' na vīrāna na bastī hai

    na pābandī na āzādī na hushyārī na mastī hai

    tirī nazroñ pe chaḌhnā aur tire dil se utar jaanā

    mohabbat meñ bulandī jis ko kahte haiñ vo pastī hai

    vahī ham the kabhī jo raat din phūloñ meñ tulte the

    vahī ham haiñ ki turbat chaar phūloñ ko tarastī hai

    karishme haiñ ki naqqāsh-e-azal nairañgiyāñ terī

    jahāñ meñ mā.il-e-rang-e-fanā har naqsh-e-hastī hai

    ise bhī nāvak-e-jānāñ apne saath letā

    ki merī aarzū dil se nikalne ko tarastī hai

    har ik zarre meñ hai innī-inallah sadā saaqī

    'ajab mai-kash the jin ḳhaak meñ bhī josh-e-mastī hai

    ḳhudā rakkhe dil-e-pur-soz terī sho.ala-afshānī

    ki vo sham' hai jo raunaq-e-darbār-e-hastī hai

    mire dil ke sivā ne bhī dekhī bekasī merī

    ki ābādī na ho jis meñ koī aisī bhī bastī hai

    hijābāt-e-ta.ayyun māne-e-dīdār samjhā thā

    jo dekhā to naqāb-e-rū-e-jānāñ merī hastī hai

    'ajab duniyā-e-hairat ālam-e-gor-e-ġharībāñ hai

    ki vīrāne vīrāna hai aur bastī bastī hai

    kahīñ hai abd dhun aur kahīñ shor-e-anal-haq hai

    kahīñ iḳhfā-e-mastī hai kahīñ iz.hār-e-mastī hai

    banāyā rashk-e-mehr-o-mah tirī zarra-navāzī ne

    nahīñ to kyā hai 'bedam' aur kyā 'bedam' hastī hai

    ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai

    ghaTa ke bhes mein mai-KHane par rahmat barasti hai

    ye jo kuchh dekhte hain hum fareb-e-KHwab-e-hasti hai

    taKHayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai

    wahan hain hum jahan 'bedam' na virana na basti hai

    na pabandi na aazadi na hushyari na masti hai

    teri nazron pe chaDhna aur tere dil se utar jaana

    mohabbat mein bulandi jis ko kahte hain wo pasti hai

    wahi hum the kabhi jo raat din phulon mein tulte the

    wahi hum hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai

    karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri

    jahan mein mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai

    ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja

    ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai

    har ek zarre mein hai inni-inallah ki sada saqi

    'ajab mai-kash the jin ki KHak mein bhi josh-e-masti hai

    KHuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shoala-afshani

    ki tu wo sham' hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai

    mere dil ke siwa tu ne bhi dekhi bekasi meri

    ki aabaadi na ho jis mein koi aisi bhi basti hai

    hijabaat-e-tayyun mane-e-didar samjha tha

    jo dekha to naqab-e-ru-e-jaanan meri hasti hai

    'ajab duniya-e-hairat aalam-e-gor-e-ghariban hai

    ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai

    kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai

    kahin iKHfa-e-masti hai kahin izhaar-e-masti hai

    banaya rashk-e-mehr-o-mah teri zarra-nawazi ne

    nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now