sharīk-e-mahfil-e-dār-o-rasan kuchh aur bhī haiñ
sitamgaro abhī ahl-e-kafan kuchh aur bhī haiñ
ravāñ-davāñ yūñhī ai nannhī būñdiyoñ ke abr
ki is dayār meñ ujḌe chaman kuchh aur bhī haiñ
ḳhudā kare na thakeñ hashr tak junūñ ke paañv
abhī manāzil-e-ranj-o-mehan kuchh aur bhī haiñ
abhī sumūm ne maanī kahāñ nasīm se haar
abhī to ma.arka-hā-e-chaman kuchh aur bhī haiñ
abhī to haiñ dil-e-shā.ir haiñ saikḌoñ nāsūr
abhī to mo.ajiza-hā-e-suḳhan kuchh aur bhī haiñ
dil-e-gudāz ne āñkhoñ ko de diye aañsū
ye jānte hue ġham ke chalan kuchh aur bhī haiñ
sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan kuchh aur bhi hain
sitamgaro abhi ahl-e-kafan kuchh aur bhi hain
rawan-dawan yunhi ai nannhi bundiyon ke abr
ki is dayar mein ujDe chaman kuchh aur bhi hain
KHuda kare na thaken hashr tak junun ke panw
abhi manazil-e-ranj-o-mehan kuchh aur bhi hain
abhi sumum ne mani kahan nasim se haar
abhi to marka-ha-e-chaman kuchh aur bhi hain
abhi to hain dil-e-shair hain saikDon nasur
abhi to moajiza-ha-e-suKHan kuchh aur bhi hain
dil-e-gudaz ne aankhon ko de diye aansu
ye jaante hue gham ke chalan kuchh aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.