Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharm aati hai aankh bhar ke unhen

Shagufta Rahman

sharm aati hai aankh bhar ke unhen

Shagufta Rahman

MORE BYShagufta Rahman

    sharm aatī hai aañkh bhar ke unheñ

    naaz apne ḳhud uThāte haiñ

    dard bhī zabān hotī hai

    kuchh ḳhamoshī se lab jatāte haiñ

    baat kahne kah nahīñ sakte

    bojh dil par vo uThāte haiñ

    un ko dekhe binā na dil maane

    ḳhvāb āñkhoñ meñ sajāte haiñ

    ik hayā to chiiz aisī hai

    varna dil pāsh-pāsh hote haiñ

    sharm oḌh hai chādar jab

    be-sabab tum ko kyoñ manāte haiñ

    sharm aisī bhī kyoñ kiyā kiije

    dard āñkhoñ se bahāte haiñ

    shāḳh se phuul toḌ kar sonā

    dushmanī kis tarah nibhāte haiñ

    sharm aati hai aankh bhar ke unhen

    naz apne hi KHud uThate hain

    dard ki bhi zaban hoti hai

    kuchh KHamoshi se lab jatate hain

    baat kahne ki kah nahin sakte

    bojh dil par hi wo uThate hain

    un ko dekhe bina na dil mane

    KHwab aankhon mein hi sajate hain

    ek haya hi to chiz aisi hai

    warna dil pash-pash hote hain

    sharm ki oDh li hai chadar jab

    be-sabab tum ko kyon manate hain

    sharm aisi bhi kyon kiya kije

    dard aankhon se hi bahate hain

    shaKH se phul toD kar sona

    dushmani kis tarah nibhate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now