sharm se us ne nigāhoñ ko milāne na diyā
zabt ne hāl-e-dil-e-zār sunāne na diyā
haa.e vo bazm jo qaa.em thī hamāre dam se
ham ko hālāt ne us bazm meñ jaane na diyā
ġham nahīñ apne nasheman kā nishāñ tak na rahā
barq ko ham ne gulistāñ to jalāne na diyā
tark-e-ulfat kā irāda to kiyā thā lekin
dil ne dāman tirī yādoñ se bachāne na diyā
aur kyā rakhte bharam un kī jafā kā 'dānish'
shikva barbādī kā lab par kabhī aane na diyā
sharm se us ne nigahon ko milane na diya
zabt ne haal-e-dil-e-zar sunane na diya
hae wo bazm jo qaem thi hamare dam se
hum ko haalat ne us bazm mein jaane na diya
gham nahin apne nasheman ka nishan tak na raha
barq ko hum ne gulistan to jalane na diya
tark-e-ulfat ka irada to kiya tha lekin
dil ne daman teri yaadon se bachane na diya
aur kya rakhte bharam un ki jafa ka 'danish'
shikwa barbaadi ka lab par kabhi aane na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.