sharma gae laja gae daman chhuDa gae
sharmā ga.e lajā ga.e dāman chhuḌā ga.e
ai ishq marhabā vo yahāñ tak to aa ga.e
dil par hazār tarah ke auhām chhā ga.e
ye tum ne kyā kiyā mirī duniyā meñ aa ga.e
sab kuchh luTā ke rāh-e-mohabbat meñ ahl-e-dil
ḳhush haiñ ki jaise daulat-e-kaunain pā ga.e
sehn-e-chaman ko apnī bahāroñ pe naaz thā
vo aa ga.e to saarī bahāroñ pe chhā ga.e
aql o junūñ meñ sab kī thiiñ rāheñ judā judā
hir-phir ke lekin ek hī manzil pe aa ga.e
ab kyā karūñ maiñ fitrat-e-nākām-e-ishq ko
jitne the hādsāt mujhe raas aa ga.e
sharma gae laja gae daman chhuDa gae
ai ishq marhaba wo yahan tak to aa gae
dil par hazar tarah ke auham chha gae
ye tum ne kya kiya meri duniya mein aa gae
sab kuchh luTa ke rah-e-mohabbat mein ahl-e-dil
KHush hain ki jaise daulat-e-kaunain pa gae
sehn-e-chaman ko apni bahaaron pe naz tha
wo aa gae to sari bahaaron pe chha gae
aql o junun mein sab ki thin rahen juda juda
hir-phir ke lekin ek hi manzil pe aa gae
ab kya karun main fitrat-e-nakaam-e-ishq ko
jitne the hadsat mujhe ras aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.