Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharmile hain dulhe raja ye malum na wo malum

Pagal Adilabadi

sharmile hain dulhe raja ye malum na wo malum

Pagal Adilabadi

MORE BYPagal Adilabadi

    sharmīle haiñ dūlhe raajā ye ma.alūm na vo ma.alūm

    karte haiñ dūlhan se parda ye ma.alūm na vo ma.alūm

    dūlhā ḳhud bhī luuT rahā hai misrī bādām aur khajūr

    sasure ko bhī maare dhakkā ye ma.alūm na vo ma.alūm

    science ke paper meñ lauñDā english ke naqlāñ le aaya

    paḌh kar aaya auñdhā chittā ye ma.alūm na vo ma.alūm

    kalkatte ko jaanā thā to gaaḌī pakḌā bamba.ī

    pūchh rahā hai chāñd rasta ye ma.alūm na vo ma.alūm

    jab bhī dekho nahānā dhonā un rahtā hai chālū

    sunday monday juma hafta ye ma.alūm na vo ma.alūm

    filmī duniyā ke baare meñ sab kuchh ma.alūm hai lekin

    kaun the apne naanā daadā ye ma.alūm na vo ma.alūm

    suntā hai Commentary hero radio rakh kar kānoñ par

    bowling batting chauvvā chhakkā ye ma.alūm na vo ma.alūm

    ganjoñ jaan mushkil meñ hai vuzū kareñ to kaise kareñ

    sar border muñh hissa ye ma.alūm na vo ma.alūm

    cigarette muñh meñ ulTī rakh kar filter ko sulgātā hai

    'pāgal' hai puurā paglā ye ma.alūm na vo ma.alūm

    sharmile hain dulhe raja ye malum na wo malum

    karte hain dulhan se parda ye malum na wo malum

    dulha KHud bhi luT raha hai misri baadam aur khajur

    sasure ko bhi mare dhakka ye malum na wo malum

    science ke paper mein launDa english ke naqlan le aaya

    paDh kar aaya aundha chitta ye malum na wo malum

    kalkatte ko jaana tha to gaDi pakDa bambai ki

    puchh raha hai chand ka rasta ye malum na wo malum

    jab bhi dekho nahana dhona un ka rahta hai chaalu

    sunday monday juma hafta ye malum na wo malum

    filmi duniya ke bare mein sab kuchh malum hai lekin

    kaun the apne nana dada ye malum na wo malum

    sunta hai Commentary hero radio rakh kar kanon par

    bowling batting chauwwa chhakka ye malum na wo malum

    ganjon ki jaan mushkil mein hai wuzu karen to kaise karen

    sar ka border munh ka hissa ye malum na wo malum

    cigarette munh mein ulTi rakh kar filter ko sulgata hai

    'pagal' tu hai pura pagla ye malum na wo malum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now