Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharminda apni jeb ko karta nahin hun main

Rajesh Reddy

sharminda apni jeb ko karta nahin hun main

Rajesh Reddy

MORE BYRajesh Reddy

    sharminda apnī jeb ko kartā nahīñ huuñ maiñ

    bāzār-e-ārzū se guzartā nahīñ huuñ maiñ

    pahchān na pā.ūñ ḳhud apne aks ko

    itnā bhī aa.ine meñ sañvartā nahīñ huuñ maiñ

    un kāmoñ banātā huuñ fihrist baar baar

    jo kaam mujh ko karne haiñ kartā nahīñ huuñ maiñ

    sharminda apni jeb ko karta nahin hun main

    bazar-e-arzu se guzarta nahin hun main

    pahchan hi na paun KHud apne hi aks ko

    itna bhi aaine mein sanwarta nahin hun main

    un kaamon ki banata hun fihrist bar bar

    jo kaam mujh ko karne hain karta nahin hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now