sharminda-e-nigāh-e-karam ho ke rah gayā
shikva zabāñ pe shukr-e-sitam ho ke rah gayā
he he vo shauq aap ke mushtāq-e-dīd kā
jo dil meñ Tiis aañkh meñ nam ho ke rah gayā
anjām apne soz kā ai be-ḳhabar na pūchh
ik tiir thā ki siine meñ dam ho ke rah gayā
hasrat pe kyoñ na roiye maqtūl-e-ishq kī
do-chār roz aap ko ġham ho ke rah gayā
tum ko to ek ye ki na aa.e magar yahāñ
shauq-e-visāl hijr kā ġham ho ke rah gayā
tum ne kiyā na qatl mujhe ek roz bhī
ye shauq dil meñ teġh-e-sitam ho ke rah gayā
'maikash' ye nā-tamāmī-e-tāsīr-e-ġham to dekh
ya.anī kisī ko shauq-e-sitam ho ke rah gayā
sharminda-e-nigah-e-karam ho ke rah gaya
shikwa zaban pe shukr-e-sitam ho ke rah gaya
he he wo shauq aap ke mushtaq-e-did ka
jo dil mein Tis aankh mein nam ho ke rah gaya
anjam apne soz ka ai be-KHabar na puchh
ek tir tha ki sine mein dam ho ke rah gaya
hasrat pe kyon na roiye maqtul-e-ishq ki
do-chaar roz aap ko gham ho ke rah gaya
tum ko to ek ye ki na aae magar yahan
shauq-e-visal hijr ka gham ho ke rah gaya
tum ne kiya na qatl mujhe ek roz bhi
ye shauq dil mein tegh-e-sitam ho ke rah gaya
'maikash' ye na-tamami-e-tasir-e-gham to dekh
yani kisi ko shauq-e-sitam ho ke rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.