Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shart-e-ulfat hai ki har naz uThaya jae

Jamal Naqvi

shart-e-ulfat hai ki har naz uThaya jae

Jamal Naqvi

MORE BYJamal Naqvi

    shart-e-ulfat hai ki har naaz uThāyā jaa.e

    lab pe ik harf-e-shikāyat bhī na laayā jaa.e

    aaj tak jis ne har ik gul hifāzat hai

    kyoñ usī ḳhaar se dāman ko bachāyā jaa.e

    shiddat-e-ranj-o-alam se nikal aa.eñ aañsū

    kisī majbūr ko itnā na satāyā jaa.e

    fā.eda kyā hai bhalā ishq rusvā.ī se

    kyoñ ye afsāna zamāne ko sunāyā jaa.e

    shart-e-ulfat hai ki har naz uThaya jae

    lab pe ek harf-e-shikayat bhi na laya jae

    aaj tak jis ne har ek gul ki hifazat ki hai

    kyon usi KHar se daman ko bachaya jae

    shiddat-e-ranj-o-alam se nikal aaen aansu

    kisi majbur ko itna na sataya jae

    faeda kya hai bhala ishq ki ruswai se

    kyon ye afsana zamane ko sunaya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now