shartoñ pe apnī khelne vaale to haiñ vahī
mohre safed ghar meñ bhī kaale to haiñ vahī
shāḳhoñ pe saañp haiñ to shikārī haiñ taak meñ
sahme parinde un ke nivāle to haiñ vahī
pahchānñe meñ ham ko takalluf huā unheñ
hālāñki apne jānñe vaale to haiñ vahī
vāris badal ga.e ki vasiyyat badal ga.ī
lekin gavāh aur qabāle to haiñ vahī
ab un pe uñgliyoñ ke nishānāt aur haiñ
har-chand apne qatl ke aale to haiñ vahī
khilvāḌ kar rahe the jo ham se vo khul ga.e
ye aur baat hiile havāle to haiñ vahī
saarī hayāt jin kī añdhere meñ kaT ga.ī
añdher hai ki 'ḳhair' jiyāle to haiñ vahī
sharton pe apni khelne wale to hain wahi
mohre safed ghar mein bhi kale to hain wahi
shaKHon pe sanp hain to shikari hain tak mein
sahme parinde un ke niwale to hain wahi
pahchanne mein hum ko takalluf hua unhen
haalanki apne jaanne wale to hain wahi
waris badal gae ki wasiyyat badal gai
lekin gawah aur qabaale to hain wahi
ab un pe ungliyon ke nishanat aur hain
har-chand apne qatl ke aale to hain wahi
khilwaD kar rahe the jo hum se wo khul gae
ye aur baat hile hawale to hain wahi
sari hayat jin ki andhere mein kaT gai
andher hai ki 'KHair' jiyale to hain wahi
sharton pe apni khelne wale to hain wahi
Raoof Khair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.