shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua
shauq āsūda-e-tahlīl-e-muammā na huā
terā bīmār tilismāt se achchhā na huā
tū ne de kar mujhe jo ḳhvāb utārā thā yahāñ
in meñ ik ḳhvāb bhī terā koī sachchā na huā
imtedād-e-sahar-o-shām zamānoñ kī qasam
ek bhī rañg mire pyaar kā phīkā na huā
shauq-e-behad ne kisī gaam Thaharne na diyā
varna kis gaam mirā ḳhūn-e-tamannā na huā
nāfa-e-mushk ne pīchhā nahīñ chhoḌā 'sālim'
mujh sā haivāñ koī jañgal meñ divāna na huā
shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua
tera bimar tilismat se achchha na hua
tu ne de kar mujhe jo KHwab utara tha yahan
in mein ek KHwab bhi tera koi sachcha na hua
imtedad-e-sahar-o-sham zamanon ki qasam
ek bhi rang mere pyar ka phika na hua
shauq-e-behad ne kisi gam Thaharne na diya
warna kis gam mera KHun-e-tamanna na hua
nafa-e-mushk ne pichha nahin chhoDa 'salim'
mujh sa haiwan koi jangal mein diwana na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.