shauq baDhta hai mere dil ka dil-afgaron ke bich
shauq baDhta hai mere dil ka dil-afgaron ke bich
Abroo Shah Mubarak
MORE BYAbroo Shah Mubarak
shauq baḌhtā hai mire dil kā dil-afgāroñ ke biich
josh kartā hai junūñ majnūñ kā gulzāroñ ke biich
āshiqāñ ke biich mat le jā dil-e-be-shauq ko
shīsha-e-ḳhālī ko kyā izzat hai mai-ḳhvāroñ ke biich
rū-ba-rū aur aañkh ojhal ek saañ ho jis kā pyaar
is tarah kā kam nazar aatā hai kui yāroñ ke biich
'ābrū' ġham ke bhañvar meñ dil ḳhudā setī lagā
nāḳhudā kuchh kaam aatā nahiñ hai mañjdhāroñ ke biich
shauq baDhta hai mere dil ka dil-afgaron ke bich
josh karta hai junun majnun ka gulzaron ke bich
aashiqan ke bich mat le ja dil-e-be-shauq ko
shisha-e-KHali ko kya izzat hai mai-KHwaron ke bich
ru-ba-ru aur aankh ojhal ek san ho jis ka pyar
is tarah ka kam nazar aata hai kui yaron ke bich
'abru' gham ke bhanwar mein dil KHuda seti laga
naKHuda kuchh kaam aata nahin hai manjdhaaron ke bich
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.