Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq bujhte nahin nawabi ke

farzad Ali zeerak

shauq bujhte nahin nawabi ke

farzad Ali zeerak

MORE BYfarzad Ali zeerak

    shauq bujhte nahīñ navābī ke

    laakh ta.ane sune rakābī ke

    kyā hifāzat ho ḳhālī kamre

    kaun naḳhre uThā.e chābī ke

    saañs hamvār hone vaalī thī

    rañg uḌne lage sarābī ke

    ashk bhar dījiye piyāle meñ

    hoñT thak jā.eñge sharābī ke

    ishq meñ aañkh ho ga.ī ābād

    fā.ede dekh is ḳharābī ke

    shauq bujhte nahin nawabi ke

    lakh tane sune rakabi ke

    kya hifazat ho KHali kamre ki

    kaun naKHre uThae chabi ke

    sans hamwar hone wali thi

    rang uDne lage sarabi ke

    ashk bhar dijiye piyale mein

    honT thak jaenge sharabi ke

    ishq mein aankh ho gai aabaad

    faede dekh is KHarabi ke

    RECITATIONS

    farzad Ali zeerak

    farzad Ali zeerak,

    farzad Ali zeerak

    shauq bujhte nahii.n navaabii ke farzad Ali zeerak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now