shauq-e-baqa ka aapne kitna hasin sila diya
shauq-e-baqā kā aap ne kitnā hasīñ sila diyā
ḳhaak hī se banā thā maiñ ḳhaak meñ phir milā diyā
chashm-e-karishma saaz kī ye bhī hai ik ḳhusūsiyat
chāhā jise banā diyā chāhā jise miTā diyā
mujh se agar huī thī bhuul aap ne kyoñ kiyā qusūr
kyoñ merā haal dekh kar bazm meñ muskurā diyā
aañkh ko de ke zauq-e-rañg ḳhud huā rañg se pare
sho.abada-e-girya tū ne ḳhuub diid kā hausla diyā
'tarzī' abhī to ye fuġhāñ ban hī rahī hai dāstāñ
dil meñ thā raaz ik nihāñ sher koī sunā diyā
shauq-e-baqa ka aap ne kitna hasin sila diya
KHak hi se bana tha main KHak mein phir mila diya
chashm-e-karishma saz ki ye bhi hai ek KHususiyat
chaha jise bana diya chaha jise miTa diya
mujh se agar hui thi bhul aap ne kyon kiya qusur
kyon mera haal dekh kar bazm mein muskura diya
aankh ko de ke zauq-e-rang KHud hua rang se pare
shoabada-e-girya tu ne KHub did ka hausla diya
'tarzi' abhi to ye fughan ban hi rahi hai dastan
dil mein tha raaz ek nihan sher koi suna diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.