shauq-e-darbar mein milte rahe darbanon se
shauq-e-darbār meñ milte rahe darbānoñ se
ham ne āñkhoñ se na dekhā jo sunā kānoñ se
talab-e-mehr thī zāhir mire armānoñ se
kah gayā ek hī qissa ka.ī unvānoñ se
bazm kī shaan ghaTī chaak garebānoñ se
jaane bhī diije ḳhatā ho ga.ī nā-dānoñ se
mahv-e-dīdār hue ham to kisī kī na sunī
nuur āñkhoñ meñ jo aayā to ga.e kānoñ se
un ke aane kī ḳhabar aa.ī ilāhī āmīn
kaash āñkhoñ se bhī dekhūñ jo sunā kānoñ se
qais-o-farhād kī taqlīd hai āshufta-sarī
'āshiqī 'aam huī aise hī nā-dānoñ se
maiñ samajhtā huuñ mujhe aap ne mehmān kiyā
kyuuñ ta'āruf na karāyā gayā mehmānoñ se
sāhab pahchān liye jaate haiñ un ke 'āshiq
ārzūoñ se tamannāoñ se armānoñ se
kahīñ ḳhuddāroñ kī vahshat kā pata chaltā hai
āstīnoñ se garebānoñ se dāmānoñ se
kabhī chhoToñ se baḌe kaam nikal jaate haiñ
mel rakh bār-gah-e-husn ke darbānoñ se
dard-mandoñ pe zarā rahm karo be-dardo
zabt-e-fariyād ziyāda to nahīñ jānoñ se
vo jo anjān haiñ mahfil meñ to apnā bhī salām
ham bhī milte nahīñ is taur ke an-jānoñ se
muñh pe bikhrā liye baal aap ne sub.hān-allāh
dil-lagī dekh ke karte haiñ pareshānoñ se
ai 'safī' rang jo apnā hai use kyuuñ badlūñ
tohmatoñ se mujhe ab Dar hai na buhtānoñ se
shauq-e-darbar mein milte rahe darbanon se
hum ne aankhon se na dekha jo suna kanon se
talab-e-mehr thi zahir mere armanon se
kah gaya ek hi qissa kai unwanon se
bazm ki shan ghaTi chaak garebanon se
jaane bhi dije KHata ho gai na-danon se
mahw-e-didar hue hum to kisi ki na suni
nur aankhon mein jo aaya to gae kanon se
un ke aane ki KHabar aai ilahi aamin
kash aankhon se bhi dekhun jo suna kanon se
qais-o-farhad ki taqlid hai aashufta-sari
'ashiqi 'am hui aise hi na-danon se
main samajhta hun mujhe aap ne mehman kiya
kyun ta'aruf na karaya gaya mehmanon se
sahab pahchan liye jate hain un ke 'ashiq
aarzuon se tamannaon se armanon se
kahin KHuddaron ki wahshat ka pata chalta hai
aastinon se garebanon se damanon se
kabhi chhoTon se baDe kaam nikal jate hain
mel rakh bar-gah-e-husn ke darbanon se
dard-mandon pe zara rahm karo be-dardo
zabt-e-fariyaad ziyaada to nahin jaanon se
wo jo anjaan hain mahfil mein to apna bhi salam
hum bhi milte nahin is taur ke an-jaanon se
munh pe bikhra liye baal aap ne subhan-allah
dil-lagi dekh ke karte hain pareshanon se
ai 'safi' rang jo apna hai use kyun badlun
tohmaton se mujhe ab Dar hai na buhtanon se
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 325)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.