shauq ka bar utar aaya hun
shauq kā baar utaar aayā huuñ
aaj maiñ us ko haar aayā huuñ
uf mirā aaj mai-kade aanā
yuuñ to maiñ kitnī baar aayā huuñ
dosto dost ko sambhālā do
duur se pā-figār aayā huuñ
saf-e-āḳhir se laḌ rahā thā maiñ
aur yahāñ lāsh-vār aayā huuñ
vahī dasht-e-azāb-e-māyūsī
vahīñ anjām-kār aayā huuñ
shauq ka bar utar aaya hun
aaj main us ko haar aaya hun
uf mera aaj mai-kade aana
yun to main kitni bar aaya hun
dosto dost ko sambhaala do
dur se pa-figar aaya hun
saf-e-aKHir se laD raha tha main
aur yahan lash-war aaya hun
wahi dasht-e-azab-e-mayusi
wahin anjam-kar aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.