shauq ke daftar dilon mein rah gae
shauq ke daftar diloñ meñ rah ga.e
garche āshiq dāstāneñ kah ga.e
dil meñ ḳhud un ke bhī chubh kar rah ga.e
vo nazar ke tiir jo ham sah ga.e
mehrbānī aap kī yādash-ba-ḳhair
vaqt kī maujoñ meñ aalam bah ga.e
thā tirī nazroñ meñ vo jaadū ki ham
jo na kahnā chāhte the kah ga.e
thī junūñ-āmez apnī guftugū
baat matlab kī bhī lekin kah ga.e
naza.a tak dil us ko dohrāyā kiyā
ik tabassum meñ vo kyā kuchh kah ga.e
aaj vo mahfil meñ 'maikash' kī tarah
kuchh na bole aur sab kuchh kah ga.e
shauq ke daftar dilon mein rah gae
garche aashiq dastanen kah gae
dil mein KHud un ke bhi chubh kar rah gae
wo nazar ke tir jo hum sah gae
mehrbani aap ki yaadash-ba-KHair
waqt ki maujon mein aalam bah gae
tha teri nazron mein wo jadu ki hum
jo na kahna chahte the kah gae
thi junun-amez apni guftugu
baat matlab ki bhi lekin kah gae
naza tak dil us ko dohraya kiya
ek tabassum mein wo kya kuchh kah gae
aaj wo mahfil mein 'maikash' ki tarah
kuchh na bole aur sab kuchh kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.