shauq ke hathon ai dil-e-muztar kya hona hai kya hoga
shauq ke hathon ai dil-e-muztar kya hona hai kya hoga
Asrarul Haq Majaz
MORE BYAsrarul Haq Majaz
shauq ke hāthoñ ai dil-e-muztar kyā honā hai kyā hogā
ishq to rusvā ho hī chukā hai husn bhī kyā rusvā hogā
husn kī bazm-e-ḳhās meñ jā kar is se ziyāda kyā hogā
koī nayā paimāñ bāñdheñge koī nayā va.ada hogā
chāragarī sar āñkhoñ par is chāragarī se kyā hogā
dard ki apnī aap davā hai tum se kyā achchhā hogā
vā.iz-e-sāda-lauh se kah do chhoḌe uqbā kī bāteñ
is duniyā meñ kyā rakkhā hai is duniyā meñ kyā hogā
tum bhī 'majāz' insān ho āḳhir laakh chhupāo ishq apnā
ye bhed magar khul jā.egā ye raaz magar ifshā hogā
shauq ke hathon ai dil-e-muztar kya hona hai kya hoga
ishq to ruswa ho hi chuka hai husn bhi kya ruswa hoga
husn ki bazm-e-KHas mein ja kar is se ziyaada kya hoga
koi naya paiman bandhenge koi naya wada hoga
chaaragari sar aankhon par is chaaragari se kya hoga
dard ki apni aap dawa hai tum se kya achchha hoga
waiz-e-sada-lauh se kah do chhoDe uqba ki baaten
is duniya mein kya rakkha hai is duniya mein kya hoga
tum bhi 'majaz' insan ho aaKHir lakh chhupao ishq apna
ye bhed magar khul jaega ye raaz magar ifsha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.