shauq se KHud jo mere rah-numa hote hain
shauq se ḳhud jo mire rāh-numā hote haiñ
mirī qismat ki vahī ābla-pā hote haiñ
lafz kī bazm-e-pur-asrār meñ ḳhubān-e-ḳhayāl
kabhī mastūr kabhī chehra-kushā hote haiñ
sher ke ruup meñ Dhalte nahīñ vo hangāme
jo mirī bazm-e-tasavvur meñ bapā hote haiñ
ab ye aalam hai ki marne pe chale aa.eñ jo dost
vo bhī min-jumla-e-arbāb-e-vafā hote haiñ
yahī but shab ke añdhere meñ jo haiñ tālib-e-shauq
yahī but din ke ujāle meñ ḳhudā hote haiñ
koī parvānoñ ko samjhāo ki jiine ke sivā
aur bhī chand maqāmāt-e-vafā hote haiñ
bāda-noshī pe musir bāda-faroshī pe ḳhafā
mahv-e-hairat huuñ ki ye log bhī kyā hote haiñ
shar.a-o-ā.īñ kī har ik aaḌ meñ karte haiñ savāl
ye jo zartār qabāoñ meñ gadā hote haiñ
kyā batā.eñ tujhe kyoñ hote haiñ us bin bechain
nāsehā tang na kar kah jo diyā hote haiñ
mujhe biitī huī rātoñ kī mahak aatī hai
hijr ke din bhī tirī zulf-e-rasā hote haiñ
lab pe hotī huī āñkhoñ meñ hañsī jaatī hai
ai buto pyaar ke andāz judā hote haiñ
mire gulshan meñ jo pāband-e-qafas haiñ vo tuyūr
dīda-var sho.ala-zabāñ naġhma-sarā hote haiñ
nazar aate haiñ jahāñ ḳhuun ke dariyā jaarī
tah meñ dīvānoñ ke naqsh-e-kaf-e-pā hote haiñ
sher sun kar mire hañste haiñ ki āshiq hai kahīñ
ya.anī ḳhūbān-e-sitam-pesha balā hote haiñ
qarz jitne ġham-e-daurāñ ke haiñ mujh par 'ābid'
ġham-e-jānāñ ke vasīle se adā hote haiñ
shauq se KHud jo mere rah-numa hote hain
meri qismat ki wahi aabla-pa hote hain
lafz ki bazm-e-pur-asrar mein KHuban-e-KHayal
kabhi mastur kabhi chehra-kusha hote hain
sher ke rup mein Dhalte nahin wo hangame
jo meri bazm-e-tasawwur mein bapa hote hain
ab ye aalam hai ki marne pe chale aaen jo dost
wo bhi min-jumla-e-arbab-e-wafa hote hain
yahi but shab ke andhere mein jo hain talib-e-shauq
yahi but din ke ujale mein KHuda hote hain
koi parwanon ko samjhao ki jine ke siwa
aur bhi chand maqamat-e-wafa hote hain
baada-noshi pe musir baada-faroshi pe KHafa
mahw-e-hairat hun ki ye log bhi kya hote hain
shara-o-ain ki har ek aaD mein karte hain sawal
ye jo zartar qabaon mein gada hote hain
kya bataen tujhe kyon hote hain us bin bechain
naseha tang na kar kah jo diya hote hain
mujhe biti hui raaton ki mahak aati hai
hijr ke din bhi teri zulf-e-rasa hote hain
lab pe hoti hui aankhon mein hansi jati hai
ai buto pyar ke andaz juda hote hain
mere gulshan mein jo paband-e-qafas hain wo tuyur
dida-war shoala-zaban naghma-sara hote hain
nazar aate hain jahan KHun ke dariya jari
tah mein diwanon ke naqsh-e-kaf-e-pa hote hain
sher sun kar mere hanste hain ki aashiq hai kahin
yani KHuban-e-sitam-pesha bala hote hain
qarz jitne gham-e-dauran ke hain mujh par 'abid'
gham-e-jaanan ke wasile se ada hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.