shauq us ka humne wasl mein bedar kar diya
shauq us kā ham ne vasl meñ bedār kar diyā
jiinā phir ham ne apnā hī dushvār kar diyā
saaqī ne apnī kaifiyat-e-ḳhās mujh ko dī
mai se nahīñ adāoñ se sarshār kar diyā
us kī jhalak bhī pā na sake chhin gayā sukūñ
dil ḳhuun merā ḳhvāhish-e-dīdār kar diyā
fāriġh kiyā jahāñ kī tamannāoñ se hameñ
us kā karam hai apnā talabgār kar diyā
ḳhuuñ aarzū ko karne meñ lohe lage magar
ye kaam ham ne aap kā sarkār kar diyā
maiñ sab samajh gayā jo mujhe yār-e-ġhār ne
uñglī laboñ pe rakh ke ḳhabar-dār kar diyā
āḳhir mirī nigāh ko paḌh hī liyā 'suhail'
us ne mire irāde ko gulnār kar diyā
shauq us ka hum ne wasl mein bedar kar diya
jina phir hum ne apna hi dushwar kar diya
saqi ne apni kaifiyat-e-KHas mujh ko di
mai se nahin adaon se sarshaar kar diya
us ki jhalak bhi pa na sake chhin gaya sukun
dil KHun mera KHwahish-e-didar kar diya
farigh kiya jahan ki tamannaon se hamein
us ka karam hai apna talabgar kar diya
KHun aarzu ko karne mein lohe lage magar
ye kaam hum ne aap ka sarkar kar diya
main sab samajh gaya jo mujhe yar-e-ghaar ne
ungli labon pe rakh ke KHabar-dar kar diya
aaKHir meri nigah ko paDh hi liya 'suhail'
us ne mere irade ko gulnar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.