sher-o-suKHan ka ye guldasta tere nam
sher-o-suḳhan kā ye guldasta tere naam
ḳhūn-e-jigar kā ye nazrāna tere naam
manzil manzil dhuup kī chādar phailī sī
yādoñ kā ye ThanDā saaya tere naam
mausam-e-gul kā kaif mahaktī sabz fazā
merī bahāroñ kā ye tohfa tere naam
dil ke ik-tāre par jis ko gaayā thā
vo pur-soz adhūrā naġhma tere naam
tere saath jo lamhe guzre ḳhvāb hue
maazī kā har ḳhvāb sunahrā tere naam
duniyā ke pur-shor samundar meñ likh duuñ
ḳhāmoshī kā ek jazīra tere naam
lafzoñ ke zahrāb meñ Duubī kuchh yādeñ
ye 'tamkīn' kā kul sarmāya tere naam
sher-o-suKHan ka ye guldasta tere nam
KHun-e-jigar ka ye nazrana tere nam
manzil manzil dhup ki chadar phaili si
yaadon ka ye ThanDa saya tere nam
mausam-e-gul ka kaif mahakti sabz faza
meri bahaaron ka ye tohfa tere nam
dil ke ik-tare par jis ko gaya tha
wo pur-soz adhura naghma tere nam
tere sath jo lamhe guzre KHwab hue
mazi ka har KHwab sunahra tere nam
duniya ke pur-shor samundar mein likh dun
KHamoshi ka ek jazira tere nam
lafzon ke zahrab mein Dubi kuchh yaaden
ye 'tamkin' ka kul sarmaya tere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.