sher-o-suKHan ki aadat Dale baiThe hain
sher-o-suḳhan kī aadat Daale baiThe haiñ
ik muddat se rog ye paale baiThe haiñ
rishte meñ ab pahle jaisī baat nahīñ
girtī huī dīvār sañbhāle baiThe haiñ
chāñd nazar aa.egā ik din khiḌkī se
ās-nagar meñ Derā Daale baiThe haiñ
camere meñ ye dilkash manzar qaid karo
saare urdu bolne vaale baiThe haiñ
itne haibatnāk añdhere haiñ ki 'vasīm'
jaan bachāne chhup ke ujāle baiThe haiñ
sher-o-suKHan ki aadat Dale baiThe hain
ek muddat se rog ye pale baiThe hain
rishte mein ab pahle jaisi baat nahin
girti hui diwar sanbhaale baiThe hain
chand nazar aaega ek din khiDki se
aas-nagar mein Dera Dale baiThe hain
camere mein ye dilkash manzar qaid karo
sare urdu bolne wale baiThe hain
itne haibatnak andhere hain ki 'wasim'
jaan bachane chhup ke ujale baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.