shewa-e-naz hosh chhal jaana
sheva-e-nāz hosh chhal jaanā
tarz-e-raftār dil kuchal jaanā
saf-e-mizhgāñ ke jhok se gir kar
ham se kab ho sakā sambhal jaanā
us ne aane kahā hai sub.h ai ashk
tū palak par na ek pal jaanā
ham abhī muntazir haiñ aane ke
din Dhalegā to tū bhī Dhal jaanā
dil ne sīkhā hai be-tarah se 'nazīr'
bin kahe bin sune nikal jaanā
shewa-e-naz hosh chhal jaana
tarz-e-raftar dil kuchal jaana
saf-e-mizhgan ke jhok se gir kar
hum se kab ho saka sambhal jaana
us ne aane kaha hai subh ai ashk
tu palak par na ek pal jaana
hum abhi muntazir hain aane ke
din Dhalega to tu bhi Dhal jaana
dil ne sikha hai be-tarah se 'nazir'
bin kahe bin sune nikal jaana
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.