shiddat-e-dard aah se puchho
shiddat-e-dard aah se pūchho
hālat-e-dil nigāh se pūchho
jānñā ho jo rāz-e-lutf-e-hayāt
gardish-e-mehr-o-māh se pūchho
shīsha-e-dil ke TūTne kā haal
shorish-e-āh-āh se pūchho
raah meñ kitne kārvāñ gum haiñ
baat ye gard-e-rāh se pūchho
zarra-e-ḳhāk kī sar-afrāzī
manzil-e-mahr-o-māh se pūchho
dil kī ḳhuddāriyoñ pe kyā guzrī
tālib-e-rasm-o-rāh se pūchho
ai 'jamālī' talāsh kī lazzat
kisī gum-karda-rāh se pūchho
shiddat-e-dard aah se puchho
haalat-e-dil nigah se puchho
jaanna ho jo raaz-e-lutf-e-hayat
gardish-e-mehr-o-mah se puchho
shisha-e-dil ke TuTne ka haal
shorish-e-ah-ah se puchho
rah mein kitne karwan gum hain
baat ye gard-e-rah se puchho
zarra-e-KHak ki sar-afraazi
manzil-e-mahr-o-mah se puchho
dil ki KHuddariyon pe kya guzri
talib-e-rasm-o-rah se puchho
ai 'jamali' talash ki lazzat
kisi gum-karda-rah se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.