shiddat-e-dard-e-nihani aur hai
shiddat-e-dard-e-nihānī aur hai
un kī mujh se khīñchā-tānī aur hai
ham subuk-sar bhī jo ho kar rah ga.e
us pe un kī sargirānī aur hai
kuchh bhī ho apnā banā leñge tujhe
ham ne apne dil meñ Thānī aur hai
aur hai un kā taqāzā dekhiye
baat qāsid kī zabānī aur hai
hai 'irāqī' tujh ko kis kā intizār
chand ghaḌiyoñ kī kahānī aur hai
shiddat-e-dard-e-nihani aur hai
un ki mujh se khincha-tani aur hai
hum subuk-sar bhi jo ho kar rah gae
us pe un ki sargirani aur hai
kuchh bhi ho apna bana lenge tujhe
hum ne apne dil mein Thani aur hai
aur hai un ka taqaza dekhiye
baat qasid ki zabani aur hai
hai 'iraqi' tujh ko kis ka intizar
chand ghaDiyon ki kahani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.