shiddat-e-dard mein ehsas ka kirdar miyan
shiddat-e-dard meñ ehsās kā kirdār miyāñ
apne hone meñ kahāñ ḳhud kā hai iz.hār miyāñ
ham bhī kho Daal rahe haiñ ki badal jaa.eñ zarā
aql-e-bebas kī sune dil nahīñ tayyār miyāñ
DhūñD kuchh log muqābil huuñ jahāñ maiñ tere
shar-e-nāqis meñ kahāñ ham se haiñ ġham-ḳhvār miyāñ
gungunā bazm-e-jahāñ shahd shakar shahd shakar
baat rakhte haiñ laboñ par ki haiñ auzār miyāñ
jhuuT ko jhuuT kahūñ sach ko kahūñ sach lekin
aa ulajhtī hai mire sar koī talvār miyāñ
aañkh kholūñ to nazar aa.eñ añdhere kyuuñ kar
sab ujāle haiñ mirī niiñd ke bīmār miyāñ
shiddat-e-dard mein ehsas ka kirdar miyan
apne hone mein kahan KHud ka hai izhaar miyan
hum bhi kho Dal rahe hain ki badal jaen zara
aql-e-bebas ki sune dil nahin tayyar miyan
DhunD kuchh log muqabil hun jahan main tere
shar-e-naqis mein kahan hum se hain gham-KHwar miyan
gunguna bazm-e-jahan shahd shakar shahd shakar
baat rakhte hain labon par ki hain auzar miyan
jhuT ko jhuT kahun sach ko kahun sach lekin
aa ulajhti hai mere sar koi talwar miyan
aankh kholun to nazar aaen andhere kyun kar
sab ujale hain meri nind ke bimar miyan
- Book : Dhund Mein Amaan (Pg. 94)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.