shiddat-e-ehsas-e-tanhai jagaya mat karo
shiddat-e-ehsās-e-tanhā.ī jagāyā mat karo
mujh ko itne saare logoñ se milāyā mat karo
tum hamāre hausle kī āḳhirī ummīd ho
tum hamāre zaḳhm par marham lagāyā mat karo
āḳhirī lamhāt meñ kyā sochne lagte ho tum
jiit ke nazdīk aa kar haar jaayā mat karo
ek aañsū bhī bahut hai bahr-e-īsāl-e-savāb
ham ġharīboñ ke liye dariyā bahāyā mat karo
log afsāna banāte haiñ zarā sī baat kā
tum hamāre naam pe nazreñ jhukāyā mat karo
shiddat-e-ehsas-e-tanhai jagaya mat karo
mujh ko itne sare logon se milaya mat karo
tum hamare hausle ki aaKHiri ummid ho
tum hamare zaKHm par marham lagaya mat karo
aaKHiri lamhat mein kya sochne lagte ho tum
jit ke nazdik aa kar haar jaya mat karo
ek aansu bhi bahut hai bahr-e-isal-e-sawab
hum gharibon ke liye dariya bahaya mat karo
log afsana banate hain zara si baat ka
tum hamare nam pe nazren jhukaya mat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.