Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shisha-e-dil dukan mein aaya

Shareef Munawwar

shisha-e-dil dukan mein aaya

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    shīsha-e-dil dukān meñ aayā

    pattharoñ amaan meñ aayā

    ham the sahrā maiñ tab ba-mushkil vo

    apne kamre se lawn meñ aayā

    uf vo sadiyāñ ki zehn se guzrīñ

    uf vo lamha ki dhyān meñ aayā

    mujh ehsās aur mujh junūn

    kab kisī naujavān meñ aayā

    mujh sahrā-navard-o-saudā.ī

    kab har ik ḳhāndān meñ aayā

    sach batā tab.a-e-hāshiya-ārā

    kyuuñ ye vaqfa bayān meñ aayā

    jaane kyā kyā ḳhayāl se niklā

    jaane kyā kyā gumān meñ aayā

    shisha-e-dil dukan mein aaya

    pattharon ki aman mein aaya

    hum the sahra main tab ba-mushkil wo

    apne kamre se lawn mein aaya

    uf wo sadiyan ki zehn se guzrin

    uf wo lamha ki dhyan mein aaya

    mujh sa ehsas aur mujh sa junun

    kab kisi naujawan mein aaya

    mujh sa sahra-naward-o-saudai

    kab har ek KHandan mein aaya

    sach bata taba-e-hashiya-ara

    kyun ye waqfa bayan mein aaya

    jaane kya kya KHayal se nikla

    jaane kya kya guman mein aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now