shisha-e-saat mein paiham karwaTen leta raha
shīsha-e-sā.at meñ paiham karvaTeñ letā rahā
maiñ badalte vaqt kī gardish kā paimāna rahā
sham.a ne jal kar pareshāñ kar diyā mirā vajūd
tīrgī tak mujh se vābasta mirā saayā rahā
dūsroñ ko jo shikāyat mujh se thī bejā na thī
maiñ vo huuñ jis ko ḳhud apne aap se shikvā rahā
zindagī meñ jaane kitnī baar aa kar Tal ga.ī
vo ajal meñ raah jis kī umr bhar taktā rahā
zauq-e-rā.ij ke mutābiq nit na.e pahne libās
zer jaama jaisā bosīda thā bosīda rahā
ek lamhe ko milā thā kaif az-ḳhud raftagī
ik sadī se bhī ziyāda is kā ḳhamyāza rahā
ġhair ne jab tak na ā.īna dikhāyā a 'sharosh'
merā chehra ḳhud mirī nazroñ se poshīda rahā
shisha-e-saat mein paiham karwaTen leta raha
main badalte waqt ki gardish ka paimana raha
shama ne jal kar pareshan kar diya mera wajud
tirgi tak mujh se wabasta mera saya raha
dusron ko jo shikayat mujh se thi beja na thi
main wo hun jis ko KHud apne aap se shikwa raha
zindagi mein jaane kitni bar aa kar Tal gai
wo ajal mein rah jis ki umr bhar takta raha
zauq-e-raij ke mutabiq nit nae pahne libas
zer jama jaisa bosida tha bosida raha
ek lamhe ko mila tha kaif az-KHud raftagi
ek sadi se bhi ziyaada is ka KHamyaza raha
ghair ne jab tak na aaina dikhaya a 'sharosh'
mera chehra KHud meri nazron se poshida raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.