shisha lab se juda nahin hota
shīsha lab se judā nahīñ hotā
nashsha phir bhī sivā nahīñ hotā
dard-e-dil jab sivā nahīñ hotā
ishq meñ kuchh mazā nahīñ hotā
har nazar surmagīñ to hotī hai
har hasīñ dilrubā nahīñ hotā
haañ ye duniyā burā banātī hai
varna insāñ burā nahīñ hotā
asr-e-hāzir hai jab qayāmat-ḳhez
hashr phir kyuuñ bapā nahīñ hotā
pārsā rind ho to saktā hai
rind kyuuñ pārsā nahīñ hotā
sher ke fan meñ aur bayāñ meñ 'azīz'
'momin' ab dūsrā nahīñ hotā
shisha lab se juda nahin hota
nashsha phir bhi siwa nahin hota
dard-e-dil jab siwa nahin hota
ishq mein kuchh maza nahin hota
har nazar surmagin to hoti hai
har hasin dilruba nahin hota
han ye duniya bura banati hai
warna insan bura nahin hota
asr-e-hazir hai jab qayamat-KHez
hashr phir kyun bapa nahin hota
parsa rind ho to sakta hai
rind kyun parsa nahin hota
sher ke fan mein aur bayan mein 'aziz'
'momin' ab dusra nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.