shisha us ka ajib hai KHud hi
shīsha us kā ajiib hai ḳhud hī
vo hamārā raqīb hai ḳhud hī
jaan kar ham nahīñ lagāte dil
dil se har but qarīb hai ḳhud hī
ham ko hājat nahīñ naqīboñ kī
sher apnā naqīb hai ḳhud hī
koī ham ko salīb kyā degā
fan hamārā salīb hai ḳhud hī
shā.irī koī ḳhud nahīñ manhūs
sher-go bad-nasīb hai ḳhud hī
mulk ko māl-e-vaqf mat jaano
qaum apnī ġharīb hai ḳhud hī
tum sikhāoge 'vāmiq' us ko adab
har parī-vash adiib hai ḳhud hī
shisha us ka ajib hai KHud hi
wo hamara raqib hai KHud hi
jaan kar hum nahin lagate dil
dil se har but qarib hai KHud hi
hum ko hajat nahin naqibon ki
sher apna naqib hai KHud hi
koi hum ko salib kya dega
fan hamara salib hai KHud hi
shairi koi KHud nahin manhus
sher-go bad-nasib hai KHud hi
mulk ko mal-e-waqf mat jaano
qaum apni gharib hai KHud hi
tum sikhaoge 'wamiq' us ko adab
har pari-wash adib hai KHud hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.