shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par
shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par
Akhtar Hoshiyarpuri
MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri
shikārī raat bhar baiThe rahe ūñchī machānoñ par
musāfir phir bhī lauT aane ko jā pahuñche Thikānoñ par
kisī ne jhāñk kar dekhā na bāhar hī koī aayā
havā ne umr bhar kyā kyā na dastak dī makānoñ par
ḳhud apnā aks-e-ruḳh hai jo kisī ko rok le baḌh kar
vagarna aadmī kab mustaqil Thahrā chaTānoñ par
uThā.e āsmāñ ke dukh bhī kis meñ itnī himmat hai
zamīñ hī ek bhārī hai hameñ to apnī jānoñ par
darīchoñ ne ye manzar aaj pahlī baar dekhā hai
ki tum jaane kahāñ the aur sūraj thā makānoñ par
gharoñ se jab nikal aa.e to sab ne raah lī apnī
magar duniyā kī nazreñ haiñ parindoñ kī uḌānoñ par
havā yuuñ hī to ham ko le ke peḌoñ tak nahīñ aa.ī
hamārā naam thā likkhā huā gandum ke dānoñ par
ye maanā āñdhiyoñ kā haq hai sab par yūrisheñ karnā
magar ye maiñ ki merī aañkh hai ḳhasta makānoñ par
kuchh itne ho ga.e mānūs sannāToñ se ham 'aḳhtar'
guzartī hai girāñ apnī sadā bhī ab to kānoñ par
shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par
musafir phir bhi lauT aane ko ja pahunche Thikanon par
kisi ne jhank kar dekha na bahar hi koi aaya
hawa ne umr bhar kya kya na dastak di makanon par
KHud apna aks-e-ruKH hai jo kisi ko rok le baDh kar
wagarna aadmi kab mustaqil Thahra chaTanon par
uThae aasman ke dukh bhi kis mein itni himmat hai
zamin hi ek bhaari hai hamein to apni jaanon par
darichon ne ye manzar aaj pahli bar dekha hai
ki tum jaane kahan the aur suraj tha makanon par
gharon se jab nikal aae to sab ne rah li apni
magar duniya ki nazren hain parindon ki uDanon par
hawa yun hi to hum ko le ke peDon tak nahin aai
hamara nam tha likkha hua gandum ke danon par
ye mana aandhiyon ka haq hai sab par yurishen karna
magar ye main ki meri aankh hai KHasta makanon par
kuchh itne ho gae manus sannaTon se hum 'aKHtar'
guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par
- Book : Monthly Usloob (Pg. 364)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.