shikayat-e-gham-e-lail-o-nahaar kaise karun
shikayat-e-gham-e-lail-o-nahaar kaise karun
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
shikāyat-e-ġham-e-lail-o-nahār kaise karūñ
maiñ ḳhud ko apnī nigāhoñ meñ ḳhaar kaise karūñ
ye zindagī baḌī ne.amat hai māntā huuñ magar
ye be-vafā nahīñ ye e.atibār kaise karūñ
tujhe hai naaz jafā par mujhe vafā kī talab
maiñ apnī zaat meñ terā shumār kaise karūñ
kahīñ bahār ke āsār to nazar aa.eñ
garebāñ apnā abhī taar taar kaise karūñ
qadam qadam pe yahāñ nafratoñ ke Dere haiñ
fazā-e-sahn-e-chaman ḳhush-gavār kaise karūñ
abhī to dil ko na.e ranj-o-ġham kī ḳhvāhish hai
ai zindagī maiñ tujhe lāla-zār kaise karūñ
vo be-vafā.ī kā ehsās kar ke 'nādim' hai
masarratoñ se use ham-kanār kaise karūñ
shikayat-e-gham-e-lail-o-nahaar kaise karun
main KHud ko apni nigahon mein KHar kaise karun
ye zindagi baDi neamat hai manta hun magar
ye be-wafa nahin ye eatibar kaise karun
tujhe hai naz jafa par mujhe wafa ki talab
main apni zat mein tera shumar kaise karun
kahin bahaar ke aasar to nazar aaen
gareban apna abhi tar tar kaise karun
qadam qadam pe yahan nafraton ke Dere hain
faza-e-sahn-e-chaman KHush-gawar kaise karun
abhi to dil ko nae ranj-o-gham ki KHwahish hai
ai zindagi main tujhe lala-zar kaise karun
wo be-wafai ka ehsas kar ke 'nadim' hai
masarraton se use ham-kanar kaise karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.