shikam-e-mahi kabhi tur ata karta hai
shikam-e-māhī kabhī tuur atā kartā hai
tīrgī us kī vahī nuur atā kartā hai
zard mausam vahī detā hai harī Tahnī ko
ḳhālī peḌoñ ko vahī baur atā kartā hai
nār-e-dozaḳh bhī hai maḳhlūq usī ḳhāliq kī
vahī firdaus vahī huur atā kartā hai
us ko kuchh ḳhauf nahīñ dahr ke āqāoñ kā
vo kumak zāhir-o-mastūr atā kartā hai
bhed khulte haiñ kabhī aur ulajh jaate haiñ
manzileñ paas kabhī duur atā kartā hai
jab bhī uThtā hai zamīñ se koī fitna koī shar
aman kā vo nayā manshūr atā kartā hai
har kisī ko kahāñ detā hai ye saudā ye junūñ
sab ko kab jur.at-e-mansūr atā kartā hai
shikam-e-mahi kabhi tur ata karta hai
tirgi us ki wahi nur ata karta hai
zard mausam wahi deta hai hari Tahni ko
KHali peDon ko wahi baur ata karta hai
nar-e-dozaKH bhi hai maKHluq usi KHaliq ki
wahi firdaus wahi hur ata karta hai
us ko kuchh KHauf nahin dahr ke aaqaon ka
wo kumak zahir-o-mastur ata karta hai
bhed khulte hain kabhi aur ulajh jate hain
manzilen pas kabhi dur ata karta hai
jab bhi uThta hai zamin se koi fitna koi shar
aman ka wo naya manshur ata karta hai
har kisi ko kahan deta hai ye sauda ye junun
sab ko kab jurat-e-mansur ata karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.