Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki

Shaz Tamkanat

shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki

Shaz Tamkanat

shikan shikan tirī yādeñ haiñ mere bistar

ġhazal ke sher nahīñ karvaTeñ haiñ shab bhar

phir aa.ī raat mirī saañs ruktī jaatī hai

saraktī aatī haiñ dīvāreñ phir mire ghar

mujhe to karnī paḌī ābyārī-e-sahrā

magar nasīb meñ thī tishnagī samundar

ye jam.a o ḳharch zabānī hai naqd-e-sher-o-suḳhan

magar yahī to kamā.ī hai zindagī bhar

usī ne baḳhshī hai rañgīni-e-hayāt mujhe

kabhī kabhī to usī ne hayāt dūbhar

ridā-e-rañg se chhantā huā badan terā

ye chāñdnī ki tamāzat hai tere paikar

kitāb-e-husn hai mil khulī kitāb tarah

yahī kitāb to mar mar ke maiñ ne azbar

sanam aas liye nok-e-tesha botā huuñ

maiñ kab se fasl ugātā rahā huuñ patthar

nibāh kartā huuñ duniyā se is tarah ai 'shāz'

ki jaise dostī ho āstīn o ḳhanjar

shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki

ghazal ke sher nahin karwaTen hain shab bhar ki

phir aai raat meri sans rukti jati hai

sarakti aati hain diwaren phir mere ghar ki

mujhe to karni paDi aabyari-e-sahra

magar nasib mein thi tishnagi samundar ki

ye jama o KHarch zabani hai naqd-e-sher-o-suKHan

magar yahi to kamai hai zindagi bhar ki

usi ne baKHshi hai rangini-e-hayat mujhe

kabhi kabhi to usi ne hayat dubhar ki

rida-e-rang se chhanta hua badan tera

ye chandni ki tamazat hai tere paikar ki

kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah

yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki

sanam ki aas liye nok-e-tesha bota hun

main kab se fasl ugata raha hun patthar ki

nibah karta hun duniya se is tarah ai 'shaz'

ki jaise dosti ho aastin o KHanjar ki

Source :
  • Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 468)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now