shikast-e-asman ho jaunga main
shikast-e-āsmāñ ho jā.ūñgā maiñ
zamīñ ko oḌh kar so jā.ūñgā maiñ
ḳhalāoñ meñ mujhe DhūñDā karoge
nazar se duur jab ho jā.ūñgā maiñ
taḌap jis kī banā detī hai pāgal
vo yād-e-ham-safar ho jā.ūñgā maiñ
tumhārī aañkh ho jā.egī zaḳhmī
jahāñ kī gard meñ kho jā.ūñgā maiñ
mire sajde kabhī rusvā na hoñge
tumhārā sañg-e-dar ho jā.ūñgā maiñ
tirī sahrā-navardī par hañseñge
vo jañgalī phuul jo bo jā.ūñgā maiñ
guzar kar dasht se 'sālim' junūñ ke
safar kī aabrū ho jā.ūñgā maiñ
shikast-e-asman ho jaunga main
zamin ko oDh kar so jaunga main
KHalaon mein mujhe DhunDa karoge
nazar se dur jab ho jaunga main
taDap jis ki bana deti hai pagal
wo yaad-e-ham-safar ho jaunga main
tumhaari aankh ho jaegi zaKHmi
jahan ki gard mein kho jaunga main
mere sajde kabhi ruswa na honge
tumhaara sang-e-dar ho jaunga main
teri sahra-nawardi par hansenge
wo jangali phul jo bo jaunga main
guzar kar dasht se 'salim' junun ke
safar ki aabru ho jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.