shikast-e-dil ka fasana suna ke dekhunga
shikast-e-dil kā fasāna sunā ke dekhūñgā
maiñ zarf-e-husn ko bhī aazmā ke dekhūñgā
ajab nahīñ ki isī tarah naam rah jaa.e
tumhārī raah meñ ḳhud ko miTā ke dekhūñgā
na jaane kyoñ nahīñ badle abhī mire hālāt
sharīk-e-hāl ab un ko banā ke dekhūñgā
sunā ye hai ki har ik shai meñ hai tirā jalva
maiñ ab hijāb-e-nazar ko uThā ke dekhūñgā
hañsī ye kyoñ tire hoñToñ pe ab nahīñ aatī
ḳhatā muaaf tujhe gudgudā ke dekhūñgā
sharāb ko na kaheñge ye us ke ba.ad harām
janāb-e-shaiḳh ko ik din pilā ke dekhūñgā
malāl hī to hai ai 'soz' aarzū kā malāl
maiñ ārzūoñ kī sham.eñ bujhā ke dekhūñgā
shikast-e-dil ka fasana suna ke dekhunga
main zarf-e-husn ko bhi aazma ke dekhunga
ajab nahin ki isi tarah nam rah jae
tumhaari rah mein KHud ko miTa ke dekhunga
na jaane kyon nahin badle abhi mere haalat
sharik-e-haal ab un ko bana ke dekhunga
suna ye hai ki har ek shai mein hai tera jalwa
main ab hijab-e-nazar ko uTha ke dekhunga
hansi ye kyon tere honTon pe ab nahin aati
KHata muaf tujhe gudguda ke dekhunga
sharab ko na kahenge ye us ke baad haram
janab-e-shaiKH ko ek din pila ke dekhunga
malal hi to hai ai 'soz' aarzu ka malal
main aarzuon ki shamen bujha ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.