shikast-e-dil mein ek ramz-e-nihan mahsus karti hun
shikast-e-dil meñ ik ramz-e-nihāñ mahsūs kartī huuñ
nigāh-e-āfrīnash mehrbāñ mahsūs kartī haiñ
simaT aatā hai dard-e-dil kabhī ashkoñ kī tābish meñ
kabhī dil meñ taḌaptī bijliyāñ mahsūs kartī huuñ
mire ash.ār merī lai meñ jab koī sunātā hai
maiñ apnā haal us kī dāstāñ mahsūs kartī huuñ
unheñ urdu mua.allā meñ mujhe dushnām dene do
urūj-e-tālā-e-urdu-zabāñ mahsūs kartī huuñ
ufuq se āftāb-e-tāza-tar ubhrā to hai lekin
ufuq ke us taraf tārīkiyāñ mahsūs kartī huuñ
shikast-e-dil mein ek ramz-e-nihan mahsus karti hun
nigah-e-afrinash mehrban mahsus karti hain
simaT aata hai dard-e-dil kabhi ashkon ki tabish mein
kabhi dil mein taDapti bijliyan mahsus karti hun
mere ashaar meri lai mein jab koi sunata hai
main apna haal us ki dastan mahsus karti hun
unhen urdu mualla mein mujhe dushnam dene do
uruj-e-tala-e-urdu-zaban mahsus karti hun
ufuq se aaftab-e-taza-tar ubhra to hai lekin
ufuq ke us taraf tarikiyan mahsus karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.