shikast kha ke tere gham se kaamyab hua
shikast khā ke tere ġham se kāmyāb huā
dil us maqām pe Duubā ki āftāb huā
sukūn-e-shauq-e-mubaddal ba-iztirāb huā
kisī ne parda kiyā aur maiñ be-naqāb huā
tirī nazar hī to mahfil kī jaan hai saaqī
nigāh tū ne uThā.ī ki inqalāb huā
mirī jabīñ ko dam-e-naz.a chūmne vaale
ġhurūb hone lagā maiñ to āftāb huā
ḳhushī kā koī natīja na ġham kā kuchh hāsil
ye zindagī na huī zindagī kā ḳhvāb huā
na raas aa.ī mujhe zahmat-e-tulū-o-ġhurūb
maiñ zindagī meñ ka.ī baar āftāb huā
kalī ko phuul to bante sabhī ne dekhā hai
kisī ne ye bhī kahā kaun be-naqāb huā
shikast kha ke tere gham se kaamyab hua
dil us maqam pe Duba ki aaftab hua
sukun-e-shauq-e-mubaddal ba-iztirab hua
kisi ne parda kiya aur main be-naqab hua
teri nazar hi to mahfil ki jaan hai saqi
nigah tu ne uThai ki inqalab hua
meri jabin ko dam-e-naza chumne wale
ghurub hone laga main to aaftab hua
KHushi ka koi natija na gham ka kuchh hasil
ye zindagi na hui zindagi ka KHwab hua
na ras aai mujhe zahmat-e-tulu-o-ghurub
main zindagi mein kai bar aaftab hua
kali ko phul to bante sabhi ne dekha hai
kisi ne ye bhi kaha kaun be-naqab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.