shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha
Interesting Fact
Aahang, Karanchi -1982 (fortnightly)
shikasta aks thā vo yā ġhubār-e-sahrā thā
vo maiñ nahīñ thā jo ḳhud apne ghar meñ rahtā thā
ajiib shart-e-safar thī mire liye ki mujhe
siyāh dhuup meñ raushan charāġh rakhnā thā
fasīl-e-sañg se mujh ko utārne aayā
vo ik sitāra jo maiñ ne kabhī na dekhā thā
na jaane kaun se mausam meñ jī rahā thā maiñ
ki merī pyaas thī merī na merā dariyā thā
shajar kī chhāñv se bāhar hai rizq taa.ir kā
vo sāhiloñ pe na Thahrā kabhī jo pyāsā thā
kise pukār rahā thā mirā adhūrā-pan
maiñ garm ret pe taaza gulāb rakhtā thā
hazār kam-suḳhanī darmiyāñ rahī phir bhī
vo mujh se aan milā thā to rañg barsā thā
maiñ bujh gayā to mire jism-o-jāñ khule mujh par
charāġh aur thā koī jo mujh meñ jaltā thā
vo apne ghar meñ ujālā na kar sakā 'jāzib'
tamām raat jo sūraj ke ḳhvāb rakhtā thā
shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha
wo main nahin tha jo KHud apne ghar mein rahta tha
ajib shart-e-safar thi mere liye ki mujhe
siyah dhup mein raushan charagh rakhna tha
fasil-e-sang se mujh ko utarne aaya
wo ek sitara jo main ne kabhi na dekha tha
na jaane kaun se mausam mein ji raha tha main
ki meri pyas thi meri na mera dariya tha
shajar ki chhanw se bahar hai rizq tair ka
wo sahilon pe na Thahra kabhi jo pyasa tha
kise pukar raha tha mera adhura-pan
main garm ret pe taza gulab rakhta tha
hazar kam-suKHani darmiyan rahi phir bhi
wo mujh se aan mila tha to rang barsa tha
main bujh gaya to mere jism-o-jaan khule mujh par
charagh aur tha koi jo mujh mein jalta tha
wo apne ghar mein ujala na kar saka 'jazib'
tamam raat jo suraj ke KHwab rakhta tha
- Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 57)
- Author : Nasir Zaidi
- Publication : Zahid Malik (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.