shikasta-dil tha par aisa nahin tha
shikasta-dil thā par aisā nahīñ thā
maiñ apne aap meñ simTā nahīñ thā
daraḳhtoñ ke ghane saa.e meñ rah kar
chamaktī dhuup ko bhūlā nahīñ thā
dar-o-dīvār mere muntazir the
magar maiñ lauT kar aayā nahīñ thā
bahut se log mujh se multafit the
kisī kī samt maiñ lapkā nahīñ thā
dabe paañv vahī dar aayā dil meñ
ki jis kā duur tak khaTkā nahīñ thā
jise ik umr kā hāsil samajhtā
mire jīvan meñ vo lamha nahīñ thā
shikasta-dil tha par aisa nahin tha
main apne aap mein simTa nahin tha
daraKHton ke ghane sae mein rah kar
chamakti dhup ko bhula nahin tha
dar-o-diwar mere muntazir the
magar main lauT kar aaya nahin tha
bahut se log mujh se multafit the
kisi ki samt main lapka nahin tha
dabe panw wahi dar aaya dil mein
ki jis ka dur tak khaTka nahin tha
jise ek umr ka hasil samajhta
mere jiwan mein wo lamha nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.