shikasta muzmahil rakkha hua hai
shikasta muzmahil rakkhā huā hai
mohabbat ne ḳhajil rakkhā huā hai
tujhe to maan rakhnā thā hamārā
magar tū ne bhī dil rakkhā huā hai
agar daa.im nahīñ hotā hai kuchh bhī
to ġham kyoñ mustaqil rakkhā huā hai
kisī ne chāñd rakkhā hai falak par
tire chehre pe til rakkhā huā hai
karam us kā ki mujh se bad-gumāñ ko
yaqīñ se muttasil rakkhā huā hai
shikasta muzmahil rakkha hua hai
mohabbat ne KHajil rakkha hua hai
tujhe to man rakhna tha hamara
magar tu ne bhi dil rakkha hua hai
agar daim nahin hota hai kuchh bhi
to gham kyon mustaqil rakkha hua hai
kisi ne chand rakkha hai falak par
tere chehre pe til rakkha hua hai
karam us ka ki mujh se bad-guman ko
yaqin se muttasil rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.