shikwa aghyar ka hai mere sunane ke liye
shikva aġhyār kā hai mere sunāne ke liye
chāhiye roz na.ī chheḌ satāne ke liye
surma sā jo mujhe āñkhoñ meñ jagah dete the
aaj aa.e haiñ vo miTTī meñ milāne ke liye
kaash dam bhar ko palaT aa.e hayāt-e-rafta
merī mayyat pe vo aa.e haiñ jilāne ke liye
kunj-e-zindāñ meñ idhar ham haiñ udhar mausam-e-gul
aa gayā aur bhī dīvāna banāne ke liye
sīna-e-mahr meñ sozish hai dil-e-māh meñ daaġh
āfat-e-jāñ hai ġham-e-ishq zamāne ke liye
'nūr' jab jānūñ ḳhayāl un kā jagā le mujh ko
maut aa.ī hai mujhe aaj sulāne ke liye
shikwa aghyar ka hai mere sunane ke liye
chahiye roz nai chheD satane ke liye
surma sa jo mujhe aankhon mein jagah dete the
aaj aae hain wo miTTi mein milane ke liye
kash dam bhar ko palaT aae hayat-e-rafta
meri mayyat pe wo aae hain jilane ke liye
kunj-e-zindan mein idhar hum hain udhar mausam-e-gul
aa gaya aur bhi diwana banane ke liye
sina-e-mahr mein sozish hai dil-e-mah mein dagh
aafat-e-jaan hai gham-e-ishq zamane ke liye
'nur' jab jaanun KHayal un ka jaga le mujh ko
maut aai hai mujhe aaj sulane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.